Mahfilain Lut Gayen Jazbat Ne Dam Tor Dia
Saaz Khamosh Hain Naghmaat Ne Dam Tor Dia
Har Mussarat Gham-E- Deeroze Ka Unwaan Bani
Waqt Ki God Main Lamhaat Ne Dam Tor Dia
An Gint Mahfilain Mahroom Charaghan Hai Abhi
Kon Kahta Hai Ke Zulmaat Ne Dam Tor Dia
Aaj Phir Bujh Gaye Jal Jal Ke Umeedon Ke Charagh
Aaj Phir Taaron Bhari Raat Ne Dam Tor Dia
Jin Se Afsana -E -Hasti Mai Tasalsul Tha Kabhi
In Mohabbat Ki Rawayaat Ne Dam Tor Dia
Jhilmilatay Huay Ashkon Ki Lari Toot Gayi
Jagmagati Huyi Barsaat Ne Dam Tor Dia
Haaay Aadab-E- Mohabbat Ke Takazay Saghir
Lab Hilay Aur Shikayaat Ne Dam Tor Dia
*
'
*- A ' ZiNdaGiiii'-/
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment